Thursday, 23 June 2011

juz tere koii bhii din raat na jaane mere -Ahemad Farz




juz tere koii bhii din raat na jaane mere
tuu kahaan hai magar ai dost puraane mere 

[juz=except] 

tuu bhii Khushbuu hai magar meraa tajassus bekaar 
barq-e-aavaaraa kii maanind Thikhaane mere 

shamaa ki lau thii ke vo tuu thaa magar hijr kii raat 
der tak rotaa rahaa koii sirhaane mere 

[sirhaane=bed-side] 

Khalq kii bekhabarii hai ke merii rusavaaii 
log mujh ko hii sunaate hain fasaane mere 

lut ke bhii khush huun ke ashkon se bharaa hai daaman 
dekh gaaratgare dil ye bhii Khazaane mere 

aaj ik aur baras biit gayaa us ke baair 
jis ke hote hue hote the zamaane mere 

kaash tuu bhii merii aavaaz sunataa ho 
phir pukaara hai tujhe dil kii sadaa ne mere 

kaash tuu bhii kabhii aajaaye masiihaaii ko 
log aate hain bahut dil ko dukhaane mere 

kaash auron kii tarah main bhii kah sakataa 
baat sun lii hai merii aaj khudaa ne mere 

tuu hai kis haal men ai zuud faraamosh mere 
mujh ko to chhiin liyaa ahad-e-vafaa ne mere 

chaaraagar yuun to bahut hain magar ai jaan-e-'Faraz' 
juz tere aur koii Gam na jaane mere 

No comments:

Post a Comment